top of page
Search
  • Jasdip Singh

Zindagi Tera Shukriya

Updated: Jul 16, 2020

Zindagi Teri rehmat ka karoguzar hoon main

Teri hi vajay se kuch varbad aur kuch aabaad hoon main

Meri ek hi guzarish hai tum se mere

Marne se Pehle mujhe Milna zaroor

Hum saath baith kar tere mere saath beteh huye lamhe yaad kar unko niharegey

Eh zindagi tere Bahot ehsan hain mujh par

Shayad aaj nahi par vada hai mera ke marne se pehle tera soot samet main har karaz utarunga

Bahot gum diye hain tumne mujhe

Shayad isse liye main yahan aaj khada hoon

Esse pehle ho Tu naraz mujhse

Main tumhe aapne dil mein base huye us dard ke ghar ka alam dikhayunga

Tujhe Alvida Kehne se pehle main Tera shukar zaroor utarunga

Main hoon so hoon bas Teri wajah se

Eh zindagi meri es Araj ko namanjoor na karna

Main jaaon iss duniya se usse pehle tum mera nayota kabool zaroor karna

Kyun ke zindagi Teri rehmat ka karozgaar hoon

Kuch teri vajah se aabaad aur kuch varbaad hoon main

7 views0 comments

Recent Posts

See All

Meri Zindagi Aur Aag

Meri zindagi ek aag ka dariya hai To gham ki shoti si lapatain mujhe kya jalaye gi Main toh pehle se hi shoolon ki tarah jalta hoon

Kamzoor Zindagi

Zindagi tu kitni kamzoor hai Tuhje musibhat ki aahat bhi daarati hai Tu Sache pyaar se bhi ghabhrati hai Tuhje shortcut se bhi dar lagta hai Tu lambhe raste se bhi ghabhrati hai Zindagi tu kitni kamzo

Batein Toh Bahot Hai Karne Ko

Batein bahot hai karno ko Shayad enhe sunate hi raat chali jayegi Najane meri baat puri Bhi ho paegi Maine aaj bhi seene main chupa rakhi hai mere sach ki aahat Naajane jeh mujhe yeh kitna aur jalayeg

Post: Blog2_Post
bottom of page