top of page
Search
  • Jasdip Singh

Musafir Chalte Huye

Main aise hi chalte chalte musafir toh zaroor ban jaunga

Kabhi na bhool ne wala afsaana toh zaroor ban jaunga

Chal toh main raha hoon par na jaane Kon si manzil tak jaunga

Lekin kahan se aaya hoon uss jagah ko kabhi bhool na paunga

Mere kuch zakham hain jo abhi bhare nahi aur mujhe zijorte hain

Main chalte chalte unhe nasoor banauga

Unhka sach main marte dum tak duniya se toh kya apne aap se bhi shupaunga

Apni nakamiat, apno ki mazboori, aur gairoon ke kiye huye

bahot se kuch ache aur kuch bure, vaade aur ehsaan

main apni dhaal banauga aur main maashaal ki tarah jagauga

Andhera hai aage usse main apni rah ko roshan kar, aage bhadta hi jaunga

Aur kuch main banhoon ja nahi, apni Nazroon main toh Jaroor uth jaunga

Aur is zindagi ka ek naya panha likhte hue jaunga

Main aise hi chalta raha toh musafir toh main zaroor ban jaoon ga

Gungunate rahe log jise woh ek afsaana toh zaroor ban jaon ga

2 views0 comments

Recent Posts

See All

Meri Zindagi Aur Aag

Meri zindagi ek aag ka dariya hai To gham ki shoti si lapatain mujhe kya jalaye gi Main toh pehle se hi shoolon ki tarah jalta hoon

Kamzoor Zindagi

Zindagi tu kitni kamzoor hai Tuhje musibhat ki aahat bhi daarati hai Tu Sache pyaar se bhi ghabhrati hai Tuhje shortcut se bhi dar lagta hai Tu lambhe raste se bhi ghabhrati hai Zindagi tu kitni kamzo

Batein Toh Bahot Hai Karne Ko

Batein bahot hai karno ko Shayad enhe sunate hi raat chali jayegi Najane meri baat puri Bhi ho paegi Maine aaj bhi seene main chupa rakhi hai mere sach ki aahat Naajane jeh mujhe yeh kitna aur jalayeg

Post: Blog2_Post
bottom of page